wo ghazal ki kitab hai pyare
vo ġhazal kī kitāb hai pyāre
us ko paḌhnā savāb hai pyāre
vo kabhī narm chāñdnī sī lage
aur kabhī āftāb hai pyāre
umr kachchī hai ishq kyā jaane
ḳhāmushī bhī javāb hai pyāre
apne hāthoñ pilā.e ḳhushbū tū
saada paanī sharāb hai pyāre
us ko paḌhnā to chuum kar paḌhnā
vo ḳhudā kī kitāb hai pyāre
us ko dekho libās mat dekho
vo pahāḌī gulāb hai pyāre
hañs ke jiine kā tum hunar sīkho
zindagī lā-javāb hai pyāre
vo jo aatā hai shab Dhale 'anzar'
terā sachchā vo ḳhvāb hai pyāre
wo ghazal ki kitab hai pyare
us ko paDhna sawab hai pyare
wo kabhi narm chandni si lage
aur kabhi aaftab hai pyare
umr kachchi hai ishq kya jaane
KHamushi bhi jawab hai pyare
apne hathon pilae KHushbu tu
sada pani sharab hai pyare
us ko paDhna to chum kar paDhna
wo KHuda ki kitab hai pyare
us ko dekho libas mat dekho
wo pahaDi gulab hai pyare
hans ke jine ka tum hunar sikho
zindagi la-jawab hai pyare
wo jo aata hai shab Dhale 'anzar'
tera sachcha wo KHwab hai pyare
- Book : Pehchan (Pg. 92)
- Author : Ateeq Anzar
- Publication : Nai Awaz Jamia Nagar New Delhi (1994)
- Edition : 1994
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.