wo ghoDiyon ki tarah shoKH aur lachili thi
vo ghoḌiyoñ kī tarah shoḳh aur lachīlī thī
maiñ shahsavār thā lekin giraft Dhīlī thī
lagā huā hai zamāna baḌā.ī meñ jis kī
usī ne shahr se pahlī lagān bhī lī thī
vo jā chukī to achānak mujhe ḳhayāl aayā
vo ghaas jis pe maiñ baiThā thā kitnī giilī thī
hamārā ḳhuun samay kā sufūf jazb kare
hamārī chhāl kisī bad-gumāñ ne chhīlī thī
ab us kā Dhab bhī koī dekhtā to hogā hī
jise tarāsh ke qarnoñ ne zahr pī lī thī
wo ghoDiyon ki tarah shoKH aur lachili thi
main shahsawar tha lekin giraft Dhili thi
laga hua hai zamana baDai mein jis ki
usi ne shahr se pahli lagan bhi li thi
wo ja chuki to achanak mujhe KHayal aaya
wo ghas jis pe main baiTha tha kitni gili thi
hamara KHun samay ka sufuf jazb kare
hamari chhaal kisi bad-guman ne chhili thi
ab us ka Dhab bhi koi dekhta to hoga hi
jise tarash ke qarnon ne zahr pi li thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.