wo gul wo KHwab-shaar bhi nahin raha
vo gul vo ḳhvāb-shār bhī nahīñ rahā
so dil ye ḳhāksār bhī nahīñ rahā
ye dil to us ke naam kā paḌāv hai
jahāñ vo ek baar bhī nahīñ rahā
paḌā hai ḳhud se vāsta aur is ke ba.ad
kisī kā e'tibār bhī nahīñ rahā
ye rañj apnī asl shakl meñ hai dost
ki maiñ ise sañvār bhī nahīñ rahā
ye vaqt bhī guzar nahīñ rahā hai aur
maiñ ḳhud ise guzār bhī nahīñ rahā
wo gul wo KHwab-shaar bhi nahin raha
so dil ye KHaksar bhi nahin raha
ye dil to us ke nam ka paDaw hai
jahan wo ek bar bhi nahin raha
paDa hai KHud se wasta aur is ke baad
kisi ka e'tibar bhi nahin raha
ye ranj apni asl shakl mein hai dost
ki main ise sanwar bhi nahin raha
ye waqt bhi guzar nahin raha hai aur
main KHud ise guzar bhi nahin raha
- Book : Quarterly TASTEER Lahore (Pg. 173)
- Author : Naseer Ahmad Nasir
- Publication : Room No.1, 1st Floor, Awan Palaza, Shadman Market, Lahore (April To Sep 1998,Issue No. 5,6,)
- Edition : April To Sep 1998,Issue No. 5,6,
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.