wo ghuncha hun jo bin khile murjhae chaman mein
wo ghuncha hun jo bin khile murjhae chaman mein
Anisa Haroon Sharwaniya
MORE BYAnisa Haroon Sharwaniya
vo ġhuncha huuñ jo bin khile murjhā.e chaman meñ
vo ashk huuñ jo zīnat-e-dāmāñ nahīñ hotā
zindāñ meñ bhī Takrā.e haiñ zanjīr ke halqe
kab josh-e-junūñ dast-o-garebāñ nahīñ hotā
kyuuñ ḳhāl-e-siyah āriz-e-gulgūñ pe hai maa.il
hindū to koī mā.il-e-qur.āñ nahīñ hotā
jauhar na hoñ to teġh hai faulād kā TukḌā
insān faqat kahne se insāñ nahīñ hotā
dīvāne ko tere nahīñ kuchh hū kī zarūrat
muhtāj ba-sañg-e-kaf-e-tiflāñ nahīñ hotā
wo ghuncha hun jo bin khile murjhae chaman mein
wo ashk hun jo zinat-e-daman nahin hota
zindan mein bhi Takrae hain zanjir ke halqe
kab josh-e-junun dast-o-gareban nahin hota
kyun KHal-e-siyah aariz-e-gulgun pe hai mail
hindu to koi mail-e-quran nahin hota
jauhar na hon to tegh hai faulad ka TukDa
insan faqat kahne se insan nahin hota
diwane ko tere nahin kuchh hu ki zarurat
muhtaj ba-sang-e-kaf-e-tiflan nahin hota
- Book : Pathan Shayraat ka Tazkira (Pg. 92)
- Author : Khan Mohammad Atif
- Publication : Khan Mohammad Atif (1983)
- Edition : 1983
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.