wo ham-safar hai magar phir bhi ham-zaban to nahin
vo ham-safar hai magar phir bhī ham-zabāñ to nahīñ
chhupā hai mujh se magar ḳhud pe bhī ayaañ to nahīñ
mire ḳhayāl kī duniyā meñ garche rahtā hai
mire ḳhayāl kī duniyā kā āsmāñ to nahīñ
ye merī fikr ke sūraj meñ jo sharāre haiñ
ye merī fikr ke mehvar kā imtihāñ to nahīñ
dhaḌak rahe ho mirī aañkh ke nazāre meñ
mire makān ke andar tirā makāñ to nahīñ
basāyā soch kī mahfil meñ jis ko 'nīlam' ne
zuhūr-e-harf hai ma.anī meñ bhī nihāñ to nahīñ
wo ham-safar hai magar phir bhi ham-zaban to nahin
chhupa hai mujh se magar KHud pe bhi ayan to nahin
mere KHayal ki duniya mein garche rahta hai
mere KHayal ki duniya ka aasman to nahin
ye meri fikr ke suraj mein jo sharare hain
ye meri fikr ke mehwar ka imtihan to nahin
dhaDak rahe ho meri aankh ke nazare mein
mere makan ke andar tera makan to nahin
basaya soch ki mahfil mein jis ko 'nilam' ne
zuhur-e-harf hai mani mein bhi nihan to nahin
- Book : Pathan Shayraat ka Tazkira (Pg. 149)
- Author : Khan Mohammad Atif
- Publication : Khan Mohammad Atif (1983)
- Edition : 1983
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.