Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wo hamein aur hum unhen bas dur se dekha kiye

Mashkoor Mamnoon Qannauji

wo hamein aur hum unhen bas dur se dekha kiye

Mashkoor Mamnoon Qannauji

MORE BYMashkoor Mamnoon Qannauji

    vo hameñ aur ham unheñ bas duur se dekhā kiye

    umr-bhar ik dūsre ko ham yūñhī chāhā kiye

    us ne va.ada toḌ Daalā ye use haq thā magar

    kis qadar ma.asūm the ham rāsta dekhā kiye

    liyā ahl-e-junūñ ne phir shahādat maqām

    aql vaale maġhfirat duā māñgā kiye

    ne merī samt dekhā palaT ke ek baar

    jaane vaale ham to tujh ko duur tak dekhā kiye

    baañT allāh ne vaqt-e-sahar sab ne.amateñ

    ham se ġhāfil dhuup ke chaḌhne talak soyā kiye

    kyā batā.ūñ dostoñ apnī ye dil dāstāñ

    ham kisī dil-lagī ko chāhateñ samjhā kiye

    wo hamein aur hum unhen bas dur se dekha kiye

    umr-bhar ek dusre ko hum yunhi chaha kiye

    us ne wada toD Dala ye use haq tha magar

    kis qadar masum the hum rasta dekha kiye

    pa liya ahl-e-junun ne phir shahadat ka maqam

    aql wale maghfirat ki hi dua manga kiye

    tu ne meri samt na dekha palaT ke ek bar

    jaane wale hum to tujh ko dur tak dekha kiye

    banT di allah ne waqt-e-sahar sab neamaten

    hum se ghafil dhup ke chaDhne talak soya kiye

    kya bataun doston apni ye dil ki dastan

    hum kisi ki dil-lagi ko chahaten samjha kiye

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now