wo hamein kaise bhala ahl-e-wafa manega
vo hameñ kaise bhalā ahl-e-vafā mānegā
ḳhud pe nāzāñ hai adāoñ kā sila mānegā
be-yaqīñ hai ham agar us ke liye jaan bhī deñ
qabr ko sho.abada-bāzoñ kā gaḌhā mānegā
aql akbar hai to kyā dil bhī hai shahzāda-salīm
ishq meñ kaun buzurgoñ kā kahā mānegā
pursish-e-hāl nahīñ hai koī sahrā kī tarah
kyuuñ na bastī ko junūñ dasht-numā mānegā
jo bhī detā hai kisī aur se dilvātā hai
har koī kaise bhalā rab kī atā mānegā
wo hamein kaise bhala ahl-e-wafa manega
KHud pe nazan hai adaon ka sila manega
be-yaqin hai hum agar us ke liye jaan bhi den
qabr ko shoabada-bazon ka gaDha manega
aql akbar hai to kya dil bhi hai shahzada-salim
ishq mein kaun buzurgon ka kaha manega
pursish-e-haal nahin hai koi sahra ki tarah
kyun na basti ko junun dasht-numa manega
jo bhi deta hai kisi aur se dilwata hai
har koi kaise bhala rab ki ata manega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.