wo hamein rah mein mil jaen zaruri to nahin
vo hameñ raah meñ mil jaa.eñ zarūrī to nahīñ
ḳhud-ba-ḳhud fāsle miT jaa.eñ zarūrī to nahīñ
chāñd chehre ki haiñ gum vaqt ke sannāTe meñ
ham magar un ko bhulā paa.eñ zarūrī to nahīñ
jin se bichhḌe the to tārīk thī duniyā saarī
ham unheñ DhūñD ke phir laa.eñ zarūrī to nahīñ
tishnagī had se sivā aur safar jaarī hai
par sarāboñ se bahal jaa.eñ zarūrī to nahīñ
zindagī tū ne to sach hai ki vafā ham se na kī
ham magar ḳhud tujhe Thukrā.eñ zarūrī to nahīñ
jū-e-ehsās meñ larzāñ ye gurezāñ lamhāt
naġhma-e-dard meñ Dhal jaa.eñ zarūrī to nahīñ
ye to sach hai ki hai ik umr se bas ek talāsh
ham magar apnā patā paa.eñ zarūrī to nahīñ
wo hamein rah mein mil jaen zaruri to nahin
KHud-ba-KHud fasle miT jaen zaruri to nahin
chand chehre ki hain gum waqt ke sannaTe mein
hum magar un ko bhula paen zaruri to nahin
jin se bichhDe the to tarik thi duniya sari
hum unhen DhunD ke phir laen zaruri to nahin
tishnagi had se siwa aur safar jari hai
par sarabon se bahal jaen zaruri to nahin
zindagi tu ne to sach hai ki wafa hum se na ki
hum magar KHud tujhe Thukraen zaruri to nahin
ju-e-ehsas mein larzan ye gurezan lamhat
naghma-e-dard mein Dhal jaen zaruri to nahin
ye to sach hai ki hai ek umr se bas ek talash
hum magar apna pata paen zaruri to nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.