wo hans ke dekhti hoti to us se baat karte
vo hañs ke dekhtī hotī to us se baat karte
koī ummīd bhī hotī to us se baat karte
ham station se bāhar aa.e is afsos ke saath
vo laḌkī ajnabī hotī to us se baat karte
hamāre jaam aadhī hausla-afzā.ī kar paa.e
agar us ne bhī pī hotī to us se baat karte
tavajjoh se bahut sharmātī hai āvāz apnī
agar vo so rahī hotī to us se baat karte
kisī se baat karnā itnā mushkil bhī nahīñ thā
kisī ne baat kī hotī to us se baat karte
ye ḳhāmoshī bhī kyā hai guftugū kī intihā hai
koī baat an-kahī hotī to us se baat karte
wo hans ke dekhti hoti to us se baat karte
koi ummid bhi hoti to us se baat karte
hum station se bahar aae is afsos ke sath
wo laDki ajnabi hoti to us se baat karte
hamare jam aadhi hausla-afzai kar pae
agar us ne bhi pi hoti to us se baat karte
tawajjoh se bahut sharmati hai aawaz apni
agar wo so rahi hoti to us se baat karte
kisi se baat karna itna mushkil bhi nahin tha
kisi ne baat ki hoti to us se baat karte
ye KHamoshi bhi kya hai guftugu ki intiha hai
koi baat an-kahi hoti to us se baat karte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.