wo hans raha hai use dil dukhana aata hai
vo hañs rahā hai use dil dukhānā aatā hai
maiñ ro rahā huuñ mujhe muskurānā aatā hai
ham aise log ziyāda jiyā nahīñ karte
hamāre baa'd hamārā zamāna aatā hai
diye jalā.ūñgā yuuñ hī maiñ sub.h hone tak
vo dil jalā.e jise dil jalānā aatā hai
na.e makāñ meñ na.e ḳhvāb dekhte haiñ log
hameñ to yaad vahī ghar purānā aatā hai
ye bahr-e-ishq hai 'ġhā.er' koī mazāq nahīñ
vahī bachegā jise Duub jaanā aatā hai
wo hans raha hai use dil dukhana aata hai
main ro raha hun mujhe muskurana aata hai
hum aise log ziyaada jiya nahin karte
hamare ba'd hamara zamana aata hai
diye jalaunga yun hi main subh hone tak
wo dil jalae jise dil jalana aata hai
nae makan mein nae KHwab dekhte hain log
hamein to yaad wahi ghar purana aata hai
ye bahr-e-ishq hai 'ghaer' koi mazaq nahin
wahi bachega jise Dub jaana aata hai
- Book : Ek Shaam Tumhare Hisse Ki (Pg. 23)
- Author : Kashif Husain Ghair
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.