wo hansna yaad aata hai wo rona yaad aata hai
vo hañsnā yaad aatā hai vo ronā yaad aatā hai
tujhe ai zindagī pā kar vo khonā yaad aatā hai
vo shab bhar jāgnā chāhat meñ ik gulzār lamhe kī
vo terī god meñ sar rakh ke sonā yaad aatā hai
tire dil kī zamīñ par gul khilānā apnī ulfat ke
tire āñkhoñ meñ apne ḳhvāb bonā yaad aatā hai
vo ḳhalvat meñ bhī terā chūḌiyoñ se khelte rahnā
mire hamrāh ho kar bhī na honā yaad aatā hai
mujhe to yaad haiñ ab tak tumhārī surmagīñ āñkheñ
tumheñ bhī kyā vo ik laḌkā salonā yaad aatā hai
kahāñ ham bhuul paa.e haiñ tirī bāñhoñ kā vo takiya
vo tere maḳhmalīñ tan kā bichhaunā yaad aatā hai
mujhe mas.hūr rakhne ko tirā kyā-kyā jatan karnā
vo jaadū yaad aatā hai vo Tonā yaad aatā hai
inhīñ hāthoñ tujhe phir sauñp denā ġhair ke hāthoñ
safīna apnī chāhat kā Dubonā yaad aatā hai
mahak apnī mulāqātoñ kī hai jin meñ basī ab tak
tumhāre ghar kā vo ik ek konā yaad aatā hai
wo hansna yaad aata hai wo rona yaad aata hai
tujhe ai zindagi pa kar wo khona yaad aata hai
wo shab bhar jagna chahat mein ek gulzar lamhe ki
wo teri god mein sar rakh ke sona yaad aata hai
tere dil ki zamin par gul khilana apni ulfat ke
tere aankhon mein apne KHwab bona yaad aata hai
wo KHalwat mein bhi tera chuDiyon se khelte rahna
mere hamrah ho kar bhi na hona yaad aata hai
mujhe to yaad hain ab tak tumhaari surmagin aankhen
tumhein bhi kya wo ek laDka salona yaad aata hai
kahan hum bhul pae hain teri banhon ka wo takiya
wo tere maKHmalin tan ka bichhauna yaad aata hai
mujhe mashur rakhne ko tera kya-kya jatan karna
wo jadu yaad aata hai wo Tona yaad aata hai
inhin hathon tujhe phir saunp dena ghair ke hathon
safina apni chahat ka Dubona yaad aata hai
mahak apni mulaqaton ki hai jin mein basi ab tak
tumhaare ghar ka wo ek ek kona yaad aata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.