wo harf-e-gham jo zaban se kabhi ada na hua
vo harf-e-ġham jo zabāñ se kabhī adā na huā
hazār rang se unvān har fasāna huā
ba-juz duā-e-sahar aur mil sakā na kahīñ
vo soz-o-sāz ki jān-e-ġham-e-shabāna huā
ham aur soz-e-mohabbat ham aur nūr-e-vafā
magar kisī kī tavajjoh se kyā atā na huā
har ek lamhe se paa.e haiñ taaza ġham ham ne
har ek lamha na.ī umr kā bahāna huā
sab apne apne ujāloñ meñ gum rahe 'fitrat'
sharīk merī shab-e-ġham meñ koī thā na huā
wo harf-e-gham jo zaban se kabhi ada na hua
hazar rang se unwan har fasana hua
ba-juz dua-e-sahar aur mil saka na kahin
wo soz-o-saz ki jaan-e-gham-e-shabana hua
hum aur soz-e-mohabbat hum aur nur-e-wafa
magar kisi ki tawajjoh se kya ata na hua
har ek lamhe se pae hain taza gham hum ne
har ek lamha nai umr ka bahana hua
sab apne apne ujalon mein gum rahe 'fitrat'
sharik meri shab-e-gham mein koi tha na hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.