wo hasin ghaDi wo sunahra pal nahin bhulta
vo hasīñ ghaḌī vo sunahrā pal nahīñ bhūltā
jo bitāyā thā tire saath kal nahīñ bhūltā
kahāñ choT aa.ī thī gir ke yaad nahīñ magar
vo kisī kā kahnā zarā sañbhal nahīñ bhūltā
tujhe kah diyā jo patā chalā mujhe 'ishq hai
jise 'ilm ho vo kabhī 'amal nahīñ bhūltā
maiñ ye kaise maan luuñ mujh ko us ne bhulā diyā
ki mirī kahī jo koī ġhazal nahīñ bhūltā
use kaise yaad na aa.e tū zarā soch to
ki 'malāl' jis se tirā badal nahīñ bhūltā
wo hasin ghaDi wo sunahra pal nahin bhulta
jo bitaya tha tere sath kal nahin bhulta
kahan choT aai thi gir ke yaad nahin magar
wo kisi ka kahna zara sanbhal nahin bhulta
tujhe kah diya jo pata chala mujhe 'ishq hai
jise 'ilm ho wo kabhi 'amal nahin bhulta
main ye kaise man lun mujh ko us ne bhula diya
ki meri kahi jo koi ghazal nahin bhulta
use kaise yaad na aae tu zara soch to
ki 'malal' jis se tera badal nahin bhulta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.