wo husn wo KHushbu mere kirdar mein aa jae
vo husn vo ḳhushbū mire kirdār meñ aa jaa.e
har shaḳhs mujhe dekhne bāzār meñ aa jaa.e
chāhūñ bhī to ghar ko maiñ kabhī chhoḌ na pā.ūñ
ai kaash vo rañgat dar-o-dīvār meñ aa jaa.e
kitne hī mazālim hoñ qalam chaltā rahe bas
jitnā bhī ho paanī isī talvār meñ aa jaa.e
har shaam shafaq dekh ke dil kahtā hai merā
shāyad yahī surḳhī har ik aḳhbār meñ aa jaa.e
dīvāna 'sharar' logoñ se ab kahne lagā hai
jalnā ho jise sāya-e-ashjār meñ aa jaa.e
wo husn wo KHushbu mere kirdar mein aa jae
har shaKHs mujhe dekhne bazar mein aa jae
chahun bhi to ghar ko main kabhi chhoD na paun
ai kash wo rangat dar-o-diwar mein aa jae
kitne hi mazalim hon qalam chalta rahe bas
jitna bhi ho pani isi talwar mein aa jae
har sham shafaq dekh ke dil kahta hai mera
shayad yahi surKHi har ek aKHbar mein aa jae
diwana 'sharar' logon se ab kahne laga hai
jalna ho jise saya-e-ashjar mein aa jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.