wo ek dana hai diwana nahin hai
vo ik daanā hai dīvāna nahīñ hai
use tū ne abhī jaanā nahīñ hai
farebī hai zarā bach kar hī rahnā
agar dhokā tujhe khānā nahīñ hai
ishāroñ hī ishāroñ meñ samajh lo
zabāñ se kuchh bhī samjhānā nahīñ hai
jahāñ se aa ga.e mahrūm ho kar
vahāñ ab lauT kar jaanā nahīñ hai
bichhaḌ jaanā to terā faisla hai
abhī tak maiñ ne ye maanā nahīñ hai
ġhazal meñ jo likhā hai yaad rakhnā
haqīqat hai ye afsāna nahīñ hai
wo ek dana hai diwana nahin hai
use tu ne abhi jaana nahin hai
farebi hai zara bach kar hi rahna
agar dhoka tujhe khana nahin hai
ishaaron hi ishaaron mein samajh lo
zaban se kuchh bhi samjhana nahin hai
jahan se aa gae mahrum ho kar
wahan ab lauT kar jaana nahin hai
bichhaD jaana to tera faisla hai
abhi tak main ne ye mana nahin hai
ghazal mein jo likha hai yaad rakhna
haqiqat hai ye afsana nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.