Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wo ek dariya aur use hairani hai

Nomaan Shauque

wo ek dariya aur use hairani hai

Nomaan Shauque

MORE BYNomaan Shauque

    vo ik dariyā aur use hairānī hai

    merī pyaas matlab saarā paanī hai

    ab bhī ik tasvīr meñ hai vo saath mire

    jis ne apnī shakl nahīñ pahchānī hai

    vaqt bahut lagtā hai aane jaane meñ

    kahne ko to duniyā aanī jaanī hai

    ik dushman ke saath yahāñ tak aa pahuñche

    aur kahāñ tak āñkhoñ vīrānī hai

    us ne hañs kar haath chhuḌāyā hai apnā

    aaj judā ho jaane meñ āsānī hai

    wo ek dariya aur use hairani hai

    meri pyas ka matlab sara pani hai

    ab bhi ek taswir mein hai wo sath mere

    jis ne apni shakl nahin pahchani hai

    waqt bahut lagta hai aane jaane mein

    kahne ko to duniya aani jaani hai

    ek dushman ke sath yahan tak aa pahunche

    aur kahan tak aankhon ki virani hai

    us ne hans kar hath chhuDaya hai apna

    aaj juda ho jaane mein aasani hai

    Source :
    • Book : Aakhiri Ishq Sabse Pahle Kiya (Pg. 55)
    • Author : Nomaan Shauque
    • Publication : Rekhta Publications (2018)
    • Edition : First
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now