wo ek sawal-e-sitara ki aasman mein tha
vo ik savāl-e-sitāra ki āsmān meñ thā
tamām raat ye dil saḳht imtihān meñ thā
sukūñ sarāb zamīñ meñ jhulas gayā thā badan
na jaane kaun dhanak-rañg sā.ebān meñ thā
zarā sā dam na liyā thā ki muñd ga.iiñ āñkheñ
maiñ is safar se nikal kar ajab takān meñ thā
vo jaate jaate achānak muḌā thā merī taraf
mujhe yaqīñ hai ki vo phir kisī gumān meñ thā
use bhulāyā to apnā ḳhayāl bhī na rahā
ki merā saarā asāsa isī makān meñ thā
wo ek sawal-e-sitara ki aasman mein tha
tamam raat ye dil saKHt imtihan mein tha
sukun sarab zamin mein jhulas gaya tha badan
na jaane kaun dhanak-rang saeban mein tha
zara sa dam na liya tha ki mund gain aankhen
main is safar se nikal kar ajab takan mein tha
wo jate jate achanak muDa tha meri taraf
mujhe yaqin hai ki wo phir kisi guman mein tha
use bhulaya to apna KHayal bhi na raha
ki mera sara asasa isi makan mein tha
- Book : Ghazal Ke Rang (Pg. 24)
- Author : Akram Naqqash, Sohil Akhtar
- Publication : Aflaak Publications, Gulbarga (2014)
- Edition : 2014
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.