wo is ada se dua karega
vo is adā se duā karegā
hamārā ho kar rahā karegā
atā karegā agar vo mālik
vo dil kī dhak dhak huā karegā
hai raas dil ko udaas mausam
ki dukh ko dil hī sahā karegā
visāl kā lamha lauT aa.e
malūl ho kar kahā karegā
uThī ho siskī kisī ke dil se
Daro ki vo dil sadā karegā
kasak uThegī hamāre dil se
kisī se gar vo milā karegā
vo khaa.ī Thokar hai ruuh ghāyal
hai dard koī davā karegā
wo is ada se dua karega
hamara ho kar raha karega
ata karega agar wo malik
wo dil ki dhak dhak hua karega
hai ras dil ko udas mausam
ki dukh ko dil hi saha karega
visal ka lamha lauT aae
malul ho kar kaha karega
uThi ho siski kisi ke dil se
Daro ki wo dil sada karega
kasak uThegi hamare dil se
kisi se gar wo mila karega
wo khai Thokar hai ruh ghayal
hai dard koi dawa karega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.