wo ja chuke hain magar KHalfashaar baqi hai
vo jā chuke haiñ magar ḳhalfashār baaqī hai
jo intizār thā vo intizār baaqī hai
bas itnī baat mire shahr-e-yār baaqī hai
ki nashsha TuuT chukā hai ḳhumār baaqī hai
junūñ kī lamha shigāfī se sadiyāñ phuuT paḌīñ
ab un kā ek nayā iḳhtisār baaqī hai
ajab haiñ khel mohabbat kī be-niyāzī ke
ki aag bujh bhī chukī hai sharār baaqī hai
ham apnā lamha-e-hastī abad banā laa.e
na.e azal kā magar intizār baaqī hai
wo ja chuke hain magar KHalfashaar baqi hai
jo intizar tha wo intizar baqi hai
bas itni baat mere shahr-e-yar baqi hai
ki nashsha TuT chuka hai KHumar baqi hai
junun ki lamha shigafi se sadiyan phuT paDin
ab un ka ek naya iKHtisar baqi hai
ajab hain khel mohabbat ki be-niyazi ke
ki aag bujh bhi chuki hai sharar baqi hai
hum apna lamha-e-hasti abad bana lae
nae azal ka magar intizar baqi hai
- Book : Meri Gazal (Pg. 13)
- Author : karar Noori
- Publication : Rooh-e-Asar (Ishaat Ghar) (1983)
- Edition : 1983
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.