Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wo jagta hai abhi tak ghunud mein hai kahan

Aftab Khan

wo jagta hai abhi tak ghunud mein hai kahan

Aftab Khan

MORE BYAftab Khan

    vo jāgtā hai abhī tak ġhunūd meñ hai kahāñ

    kamī thakan magar is vajūd meñ hai kahāñ

    kare rukū to Tāñgoñ pe kapkapī chhā.e

    vo valvala vo javānī sujūd meñ hai kahāñ

    maiñ apne paañv miTTī pe jam ke baiThā huuñ

    jo merā kunj hai terī hudūd meñ hai kahāñ

    ye lutf-e-ḳhāk-nashīnī bhī aarzī shai hai

    ki mustaqil baqā hast-o-būd meñ hai kahāñ

    maiñ apnā kar ke ḳhasārā huuñ mutma.in jaise

    vo nafā mujh ko milā tere suud meñ hai kahāñ

    sulag rahā hai jigar ḳhushk lakḌiyoñ tarah

    dhuāñ jo dil se uThā aur duud meñ hai kahāñ

    karo talāsh mazāmīr-e-gum-shuda phir se

    mazā vo un kisī bhī surūd meñ hai kahāñ

    zamīñ se tā-ba-falak 'āftāb' chhāyā hai

    hunar ye aur kisī ke vajūd meñ hai kahāñ

    wo jagta hai abhi tak ghunud mein hai kahan

    kami thakan ki magar is wajud mein hai kahan

    kare ruku to Tangon pe kapkapi chhae

    wo walwala wo jawani sujud mein hai kahan

    main apne panw ki miTTi pe jam ke baiTha hun

    jo mera kunj hai teri hudud mein hai kahan

    ye lutf-e-KHak-nashini bhi aarzi shai hai

    ki mustaqil si baqa hast-o-bud mein hai kahan

    main apna kar ke KHasara hun mutmain jaise

    wo nafa mujh ko mila tere sud mein hai kahan

    sulag raha hai jigar KHushk lakDiyon ki tarah

    dhuan jo dil se uTha aur dud mein hai kahan

    karo talash mazamir-e-gum-shuda phir se

    maza wo un sa kisi bhi surud mein hai kahan

    zamin se ta-ba-falak 'aftab' chhaya hai

    hunar ye aur kisi ke wajud mein hai kahan

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now