wo jab apne lab kholen
vo jab apne lab kholeñ
shahd fazāoñ meñ gholeñ
aap ke bhī ho jā.eñge ham
pahle apne to ho leñ
duniyā se kaT jaa.eñ ham
itnā sach hī kyuuñ boleñ
jab jab ḳhud ko qatl kareñ
ḳhanjar gañgā meñ dho leñ
uḌnā ham sikhlā deñge
aap zarā se par kholeñ
kuchh din halke guzreñge
aaj kī shab khul kar ro leñ
din bhar sūraj Dhoyā hai
chāñd se lipTeñ aur so leñ
wo jab apne lab kholen
shahd fazaon mein gholen
aap ke bhi ho jaenge hum
pahle apne to ho len
duniya se kaT jaen hum
itna sach hi kyun bolen
jab jab KHud ko qatl karen
KHanjar ganga mein dho len
uDna hum sikhla denge
aap zara se par kholen
kuchh din halke guzrenge
aaj ki shab khul kar ro len
din bhar suraj Dhoya hai
chand se lipTen aur so len
- Book : Lafz Magazine-01 Dec-10 to 28 Feb-11
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.