wo jab bhi pukarega yahan aan rahenge
vo jab bhī pukāregā yahāñ aan raheñge
ham ḳhāk-nashīñ be-sar-o-sāmān raheñge
hañgām-e-jahāñ tujh meñ pareshān raheñge
yā dasht-e-tilismāt meñ hairān raheñge
saaya bhī yahāñ duur zarā ham se chalegā
ye shahr hī aisā hai ki anjān raheñge
ai aql nahīñ ā.eñge bātoñ meñ tirī ham
nādān the nādān haiñ nādān raheñge
sun ḳhū-e-tarab shahr-e-nigārāñ kī taraf jā
ham ahl-e-junūñ sū-e-bayābān raheñge
wo jab bhi pukarega yahan aan rahenge
hum KHak-nashin be-sar-o-saman rahenge
hangam-e-jahan tujh mein pareshan rahenge
ya dasht-e-tilismat mein hairan rahenge
saya bhi yahan dur zara hum se chalega
ye shahr hi aisa hai ki anjaan rahenge
ai aql nahin aaenge baaton mein teri hum
nadan the nadan hain nadan rahenge
sun KHu-e-tarab shahr-e-nigaran ki taraf ja
hum ahl-e-junun su-e-bayaban rahenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.