wo jaise duniya chala raha hai
vo jaise duniyā chalā rahā hai
faqat kahe ko nibhā rahā hai
ḳhudā kā jaane hai kyā irāda
jo phir se ham ko milā rahā hai
shurūa meñ kuchh jhijhak to hogī
tavīl arsa ḳhafā rahā hai
rachā ke sāñsoñ meñ merī ġhazleñ
vo bāñsurī par sunā rahā hai
nahīñ maiñ us se ḳhafā nahīñ huuñ
jo shaḳhs mujh ko manā rahā hai
tujhe mohabbat ne Das liyā nā
ye niil sab kuchh batā rahā hai
minute kī soī se bāñdh kar vo
ghaḌī meñ ham ko ghumā rahā hai
maiñ ek nāzir vo ik musavvir
ka.ī manāzir dikhā rahā hai
hai sāmne hasht-pahlū rasta
har ik se gautam bulā rahā hai
aqab meñ hai us ke mauj-e-sarkash
habāb ko jo bachā rahā hai
koī muḳhātab nahīñ thā is kā
mirā suḳhan be sadā rahā hai
maiñ sher kahne se Dar rahī huuñ
ḳhayāl himmat bañdhā rahā hai
wo jaise duniya chala raha hai
faqat kahe ko nibha raha hai
KHuda ka jaane hai kya irada
jo phir se hum ko mila raha hai
shurua mein kuchh jhijhak to hogi
tawil arsa KHafa raha hai
racha ke sanson mein meri ghazlen
wo bansuri par suna raha hai
nahin main us se KHafa nahin hun
jo shaKHs mujh ko mana raha hai
tujhe mohabbat ne Das liya na
ye nil sab kuchh bata raha hai
minute ki soi se bandh kar wo
ghaDi mein hum ko ghuma raha hai
main ek nazir wo ek musawwir
kai manazir dikha raha hai
hai samne hasht-pahlu rasta
har ek se gautam bula raha hai
aqab mein hai us ke mauj-e-sarkash
habab ko jo bacha raha hai
koi muKHatab nahin tha is ka
mera suKHan be sada raha hai
main sher kahne se Dar rahi hun
KHayal himmat bandha raha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.