wo jalwa-gah-e-naz hai ya bazm-e-tur hai
vo jalva-gah-e-nāz hai yā bazm-e-tūr hai
har ek zarra rū-kash-e-duniyā-e-nūr hai
in ḳhud-numā.iyoñ pe bhī mahrūmiyāñ 'ajab
ai chashm-e-nā-murād ye terā qusūr hai
allāh re imbisāt-e-tamāshā-e-husn-e-dost
duniyā asīr-e-mauja-e-bahr-e-surūr hai
māyūs ho na dil kisī ummīd-vār kā
ai husn-e-be-niyāz tarahhum zarūr hai
nairañgī-e-kamāl-e-mohabbat to dekhiye
muusā harīf-e-jalva-e-lailā-e-tūr hai
maiñ aur tāb-e-jalva-e-barq-e-jamāl-e-yār
ai aql-e-harzā-kār sarāsar futūr hai
rangīniyoñ meñ ġharq hai kyoñ bazm-e-kā.enāt
allāh kaun jalva-tarāz-e-zuhūr hai
is dushman-e-vafā se hai ummīd-e-iltifāt
'razmī' ye kyā ḳhayāl hai kuchh bhī shu'ūr hai
wo jalwa-gah-e-naz hai ya bazm-e-tur hai
har ek zarra ru-kash-e-duniya-e-nur hai
in KHud-numaiyon pe bhi mahrumiyan 'ajab
ai chashm-e-na-murad ye tera qusur hai
allah re imbisat-e-tamasha-e-husn-e-dost
duniya asir-e-mauja-e-bahr-e-surur hai
mayus ho na dil kisi ummid-war ka
ai husn-e-be-niyaz tarahhum zarur hai
nairangi-e-kamal-e-mohabbat to dekhiye
musa harif-e-jalwa-e-laila-e-tur hai
main aur tab-e-jalwa-e-barq-e-jamal-e-yar
ai aql-e-harza-kar sarasar futur hai
ranginiyon mein gharq hai kyon bazm-e-kaenat
allah kaun jalwa-taraaz-e-zuhur hai
is dushman-e-wafa se hai ummid-e-iltifat
'razmi' ye kya KHayal hai kuchh bhi shu'ur hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.