wo jawan dilon ka hasin milan tujhe yaad ho ki na yaad ho
wo jawan dilon ka hasin milan tujhe yaad ho ki na yaad ho
Abdussamad Khateeb
MORE BYAbdussamad Khateeb
vo javāñ diloñ kā hasīñ milan tujhe yaad ho ki na yaad ho
mujhe yaad hai mire kam-suḳhan tujhe yaad ho ki na yaad ho
vo chahaktā lahja vo guftugū vo khanak tirī sar-e-āb-jū
vo hasīn shaam kā bāñkpan tujhe yaad ho ki na yaad ho
vo mohabbatoñ kī kahāniyāñ vo rifāqateñ vo javāniyāñ
vo badan meñ jaagī huī agan tujhe yaad ho ki na yaad ho
vo sharārateñ vo latāfateñ vo mohabbateñ vo ināyateñ
vo mahak-fashāñ tirā pairahan tujhe yaad ho ki na yaad ho
mujhe yaad hai mire dilrubā vo zamāna shohrat-e-ishq kā
the raqīb donoñ pe harf-zan tujhe yaad ho ki na yaad ho
mire ham-nafas mire mehrbāñ vo fazā meñ uḌtā huā dhuāñ
vo ThiThurtī rātoñ kā bāñkpan tujhe yaad ho ki na yaad ho
tire husn kā jo faqīr thā tirī zulf kā jo asiir thā
vo 'ḳhatīb' ḳhasta-o-kam-suḳhan tujhe yaad ho ki na yaad ho
wo jawan dilon ka hasin milan tujhe yaad ho ki na yaad ho
mujhe yaad hai mere kam-suKHan tujhe yaad ho ki na yaad ho
wo chahakta lahja wo guftugu wo khanak teri sar-e-ab-ju
wo hasin sham ka bankpan tujhe yaad ho ki na yaad ho
wo mohabbaton ki kahaniyan wo rifaqaten wo jawaniyan
wo badan mein jagi hui agan tujhe yaad ho ki na yaad ho
wo shararaten wo latafaten wo mohabbaten wo inayaten
wo mahak-fashan tera pairahan tujhe yaad ho ki na yaad ho
mujhe yaad hai mere dilruba wo zamana shohrat-e-ishq ka
the raqib donon pe harf-zan tujhe yaad ho ki na yaad ho
mere ham-nafas mere mehrban wo faza mein uDta hua dhuan
wo ThiThurti raaton ka bankpan tujhe yaad ho ki na yaad ho
tere husn ka jo faqir tha teri zulf ka jo asir tha
wo 'KHatib' KHasta-o-kam-suKHan tujhe yaad ho ki na yaad ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.