wo jazbon mein gahra sat-samundar se
vo jazboñ meñ gahrā sāt-samundar se
maiñ ne us ko dekh liyā hai andar se
aaj hameñ jo zaḳhm lage haiñ patthar se
mumkin hai kal bhar jā.eñge ḳhanjar se
kab dauḌegā rag rag meñ badle kā lahū
kab niklegī raakh hamāre andar se
aur bhī hai rañgīn manāzir saḌkoñ par
bāhar aa ke dekho ḳhvāb kī chādar se
kuchh na kuchh to baat hai tujh meñ ai jaanā
chāñd zamīñ pe dekh rahā hai ambar se
wo jazbon mein gahra sat-samundar se
main ne us ko dekh liya hai andar se
aaj hamein jo zaKHm lage hain patthar se
mumkin hai kal bhar jaenge KHanjar se
kab dauDega rag rag mein badle ka lahu
kab niklegi rakh hamare andar se
aur bhi hai rangin manazir saDkon par
bahar aa ke dekho KHwab ki chadar se
kuchh na kuchh to baat hai tujh mein ai jaana
chand zamin pe dekh raha hai ambar se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.