wo jidhar se guzar ke jate hain
vo jidhar se guzar ke jaate haiñ
ban ke ḳhushbū bikhar ke jaate haiñ
chāñd bhī sar paTakne lagtā hai
jab vo saj ke sañvar ke jaate haiñ
maiñ nashe meñ bahakne lagtā huuñ
pyāle āñkhoñ se bhar ke jaate haiñ
maañ ke pairoñ meñ dekh lī jannat
log jannat meñ mar ke jaate haiñ
un se pūchho kabhī 'niyāzī' miyāñ
kyoñ vo dīvāna karke jaate haiñ
wo jidhar se guzar ke jate hain
ban ke KHushbu bikhar ke jate hain
chand bhi sar paTakne lagta hai
jab wo saj ke sanwar ke jate hain
main nashe mein bahakne lagta hun
pyale aankhon se bhar ke jate hain
man ke pairon mein dekh li jannat
log jannat mein mar ke jate hain
un se puchho kabhi 'niyazi' miyan
kyon wo diwana karke jate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.