wo jinko KHub tha apne hunar ka andaza
vo jin ko ḳhuub thā apne hunar kā andāza
hai apnī maat kī un ko ḳhabar kā andāza
na ho farīq koī sāmne to ho kaise
kisī farīq ko apne hunar kā andāza
unheñ hai zo.am ki ham ko asiir kar deñge
magar ġhalat hai kisī be-ḳhabar kā andāza
hameñ Darā.egā kaise safar samundar kā
ki ham to kar bhī chuke haiñ bhañvar kā andāza
vo jin ko ḳhauf hai manzil se duur hone kā
sitāra dekh ke kar leñ safar kā andāza
ayaañ hai un kā nasab un kī guftugū se hī
hameñ kahāñ thā ġhazal un ke shar kā andāza
wo jin ko KHub tha apne hunar ka andaza
hai apni mat ki un ko KHabar ka andaza
na ho fariq koi samne to ho kaise
kisi fariq ko apne hunar ka andaza
unhen hai zoam ki hum ko asir kar denge
magar ghalat hai kisi be-KHabar ka andaza
hamein Daraega kaise safar samundar ka
ki hum to kar bhi chuke hain bhanwar ka andaza
wo jin ko KHauf hai manzil se dur hone ka
sitara dekh ke kar len safar ka andaza
ayan hai un ka nasab un ki guftugu se hi
hamein kahan tha ghazal un ke shar ka andaza
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.