wo jis se pyar main diwana-war karta raha
vo jis se pyaar maiñ dīvāna-vār kartā rahā
vo piiTh pīchhe mire mujh pe vaar kartā rahā
jo shaḳhs bandagī-e-kirdgār kartā rahā
vo ḳhud ko dahr meñ yuuñ zī-vaqār kartā rahā
'ajīb shaḳhs thā vo jab talak rahā zinda
ḳhizāñ kī rut meñ bhī jashn-e-bahār kartā rahā
husūl jis kā mirī dastaras se bāhar thā
usī kī chaah meñ dil be-qarār kartā rahā
ye merī jaan hai qurbān us ġhazal-ḳhvāñ par
farāz-e-dār pe jo zikr-e-yār kartā rahā
ḳhayāl kyā hai tumhārā hamāre baare meñ
savāl mujh se koī baar baar kartā rahā
kisī ne us ko biThāyā nahīñ savārī par
musāfiroñ ko jo banda savār kartā rahā
dayār-e-ġhair meñ rah kar bhī tujh ko ḳhāk-e-vatan
hamesha yaad dil-e-ḳhāksār kartā rahā
nasīhatoñ kī jise ḳhud bahut zarūrat thī
vo dūsroñ ko nasīhat hazār kartā rahā
mirī nigāh meñ manzil thī roz-e-avval se
so zabt-e-gardish-e-lail-o-nahār kartā rahā
kisī kā mujh se ye kahnā bhalā lagā mujh ko
kahāñ thā tū maiñ terā intizār kartā rahā
isī pe bārish-e-ne.amat mudām hotī rahī
jo shukr-e-ne.amat-e-parvardigār kartā rahā
jo shahr bhar meñ na thā e'tibār ke qābil
ye dil us pe hī kyoñ e'tibār kartā rahā
use ghamanD thā apne amiir hone par
so mere sāmne dollar shumār kartā rahā
nikhartā jā.egā fan bazm-e-isti.āra kā
jo 'nūrī' chashm-e-karam shahryār kartā rahā
wo jis se pyar main diwana-war karta raha
wo piTh pichhe mere mujh pe war karta raha
jo shaKHs bandagi-e-kirdgar karta raha
wo KHud ko dahr mein yun zi-waqar karta raha
'ajib shaKHs tha wo jab talak raha zinda
KHizan ki rut mein bhi jashn-e-bahaar karta raha
husul jis ka meri dastaras se bahar tha
usi ki chah mein dil be-qarar karta raha
ye meri jaan hai qurban us ghazal-KHwan par
faraaz-e-dar pe jo zikr-e-yar karta raha
KHayal kya hai tumhaara hamare bare mein
sawal mujh se koi bar bar karta raha
kisi ne us ko biThaya nahin sawari par
musafiron ko jo banda sawar karta raha
dayar-e-ghair mein rah kar bhi tujh ko KHak-e-watan
hamesha yaad dil-e-KHaksar karta raha
nasihaton ki jise KHud bahut zarurat thi
wo dusron ko nasihat hazar karta raha
meri nigah mein manzil thi roz-e-awwal se
so zabt-e-gardish-e-lail-o-nahaar karta raha
kisi ka mujh se ye kahna bhala laga mujh ko
kahan tha tu main tera intizar karta raha
isi pe barish-e-neamat mudam hoti rahi
jo shukr-e-neamat-e-parwardigar karta raha
jo shahr bhar mein na tha e'tibar ke qabil
ye dil us pe hi kyon e'tibar karta raha
use ghamanD tha apne amir hone par
so mere samne dollar shumar karta raha
nikharta jaega fan bazm-e-istiara ka
jo 'nuri' chashm-e-karam shahryar karta raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.