wo jitna mujhe aazmata rahega
vo jitnā mujhe āzmātā rahegā
yaqīñ merā utnā gañvātā rahegā
kabhī pūchh le tū razā is ke man kī
kahāñ tak tū apnī chalātā rahegā
ye haivāniyat jurm kartī rahegī
sharāfat pe ilzām aatā rahegā
zamāna hai bahrā bache kaise izzat
koī shor kab tak machātā rahegā
zamāna huā ḳhud meñ chālāk itnā
tū jab tak Daregā Darātā rahegā
rahegī mohabbat javāñ mere dil meñ
tirā dard jab tak satātā rahegā
ġhamoñ ko bhī hañs kar vo jī legā 'kalkal'
ḳhudā ko jo bartar batātā rahegā
wo jitna mujhe aazmata rahega
yaqin mera utna ganwata rahega
kabhi puchh le tu raza is ke man ki
kahan tak tu apni chalata rahega
ye haiwaniyat jurm karti rahegi
sharafat pe ilzam aata rahega
zamana hai bahra bache kaise izzat
koi shor kab tak machata rahega
zamana hua KHud mein chaalak itna
tu jab tak Darega Daraata rahega
rahegi mohabbat jawan mere dil mein
tera dard jab tak satata rahega
ghamon ko bhi hans kar wo ji lega 'kalkal'
KHuda ko jo bartar batata rahega
- Book : Munderon Per Charagh (Pg. 77)
- Author : Rajender Kalkal
- Publication : Amrit Parkashan, Delhi (2016)
- Edition : 2016
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.