wo jo aae hayat yaad aai
vo jo aa.e hayāt yaad aa.ī
bhūlī-bisrī sī baat yaad aa.ī
hāl-e-dil un se kah ke jab lauTe
un se kahne kī baat yaad aa.ī
aap ne din banā diyā thā jise
zindagī bhar vo raat yaad aa.ī
tere dar se uThe hī the ki hameñ
tangī-e-kā.enāt yaad aa.ī
vāsta jab paḌā masarrat se
ġham kī ek ek baat yaad aa.ī
kyā javānī ga.ī janāb-e-'ḳhumār'
kaise tauba kī baat yaad aa.ī
wo jo aae hayat yaad aai
bhuli-bisri si baat yaad aai
haal-e-dil un se kah ke jab lauTe
un se kahne ki baat yaad aai
aap ne din bana diya tha jise
zindagi bhar wo raat yaad aai
tere dar se uThe hi the ki hamein
tangi-e-kaenat yaad aai
wasta jab paDa masarrat se
gham ki ek ek baat yaad aai
kya jawani gai janab-e-'KHumar'
kaise tauba ki baat yaad aai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.