wo jo aankhon mein chhup ke baiTha hai
vo jo āñkhoñ meñ chhup ke baiThā hai
aise lagtā hai mere jaisā hai
rāste meñ rukāvaTeñ kaisī
maiñ ne ye pāniyoñ se sīkhā hai
vo jo phir lauT kar nahīñ aayā
mere pallū meñ us kā va.ada hai
aadhā chhuptā hai aadhā dikhtā hai
chāñd bilkul tumhāre jaisā hai
ḳhud na martā na marne detā hai
pyaar kitnā hasīn jazba hai
merī āñkheñ 'samīna' raushan haiñ
vo mire ḳhvāb meñ jo aayā hai
wo jo aankhon mein chhup ke baiTha hai
aise lagta hai mere jaisa hai
raste mein rukawaTen kaisi
main ne ye paniyon se sikha hai
wo jo phir lauT kar nahin aaya
mere pallu mein us ka wada hai
aadha chhupta hai aadha dikhta hai
chand bilkul tumhaare jaisa hai
KHud na marta na marne deta hai
pyar kitna hasin jazba hai
meri aankhen 'samina' raushan hain
wo mere KHwab mein jo aaya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.