wo jo aankhon se mere dil mein utar jaega
vo jo āñkhoñ se mire dil meñ utar jā.egā
raushnī ban ke har ik samt bikhar jā.egā
din guzāregā bahar-hāl tire kūche meñ
raat aa jaa.e to dīvāna kidhar jā.egā
mauj-e-dariyā ne Duboyā thā jise sāhil par
kyā ḳhabar thī ki vo tūfāñ se ubhar jā.egā
chāñdnī raat meñ ik aur qayāmat hogī
rang chehre kā tire aur nikhar jā.egā
tujh se bichhḌā huuñ magar rabt hai itnā 'kausar'
dil kā har zaḳhm tirī yaad se bhar jā.egā
wo jo aankhon se mere dil mein utar jaega
raushni ban ke har ek samt bikhar jaega
din guzarega bahar-haal tere kuche mein
raat aa jae to diwana kidhar jaega
mauj-e-dariya ne Duboya tha jise sahil par
kya KHabar thi ki wo tufan se ubhar jaega
chandni raat mein ek aur qayamat hogi
rang chehre ka tere aur nikhar jaega
tujh se bichhDa hun magar rabt hai itna 'kausar'
dil ka har zaKHm teri yaad se bhar jaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.