wo jo ghazlon ke ustad hain doston
vo jo ġhazloñ ke ustād haiñ dostoñ
kyā kaheñ kitne jallād haiñ dostoñ
zindagī kī zabāñ un ko aatī nahīñ
vo kitāboñ kī ījād hai dostoñ
ek bhī sher ġhālib kā samjhe nahīñ
vaise ġhālib kī aulād haiñ dostoñ
bulbuloñ sī vo ġhazleñ sañvāreñge kyā
vo taḳhallus se sayyād haiñ dostoñ
kyā ajab shaḳhs haiñ kuchh bhī samjhe binā
de rahe daad par daad haiñ dostoñ
un ke shāgird jo bhī haiñ barbād haiñ
aur vo haiñ ki ābād haiñ dostoñ
ab bhī saaqī surāhī meñ uljhe haiñ vo
guzre vaqtoñ kī ik yaad haiñ dostoñ
wo jo ghazlon ke ustad hain doston
kya kahen kitne jallad hain doston
zindagi ki zaban un ko aati nahin
wo kitabon ki ijad hai doston
ek bhi sher ghaalib ka samjhe nahin
waise ghaalib ki aulad hain doston
bulbulon si wo ghazlen sanwarenge kya
wo taKHallus se sayyaad hain doston
kya ajab shaKHs hain kuchh bhi samjhe bina
de rahe dad par dad hain doston
un ke shagird jo bhi hain barbaad hain
aur wo hain ki aabaad hain doston
ab bhi saqi surahi mein uljhe hain wo
guzre waqton ki ek yaad hain doston
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.