wo jo KHwabon ke ghar ka rasta hai
vo jo ḳhvāboñ ke ghar kā rasta hai
ḳhvāhish-e-dar-ba-dar kā rasta hai
us kī yādoñ kī rahguzar thī jahāñ
ab vo shahr-e-hunar kā rasta hai
us se milne kī ḳhvāhishoñ ke liye
ek tanhā safar kā rasta hai
ek lamhe ko us kī manzil hai
aur phir umr-bhar kā rasta hai
ishq āsāñ safar hai kis ke liye
ye mirī jaan sar kā rasta hai
jo mire hijr kī masāfat hai
vo tirī ik nazar kā rasta hai
ishq kī raah mat chalo 'ādil'
ye to us ke hī dar kā rasta hai
wo jo KHwabon ke ghar ka rasta hai
KHwahish-e-dar-ba-dar ka rasta hai
us ki yaadon ki rahguzar thi jahan
ab wo shahr-e-hunar ka rasta hai
us se milne ki KHwahishon ke liye
ek tanha safar ka rasta hai
ek lamhe ko us ki manzil hai
aur phir umr-bhar ka rasta hai
ishq aasan safar hai kis ke liye
ye meri jaan sar ka rasta hai
jo mere hijr ki masafat hai
wo teri ek nazar ka rasta hai
ishq ki rah mat chalo 'adil'
ye to us ke hi dar ka rasta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.