wo jo kuchh kuchh nigah milane lage
vo jo kuchh kuchh nigah milāne lage
ham har ik se nazar churāne lage
dekhiye kyā ho jaur kā anjām
vo mire hausle baḌhāne lage
ye vo kāfir hai ishq-e-ḳhāna-ḳharāb
tum mire ġham-kade meñ aane lage
kāvishoñ meñ bhī ab mazā na rahā
har kisī ko vo jab satāne lage
maut aa.ī 'zahīr' kab ham ko
jab mohabbat ke lutf aane lage
wo jo kuchh kuchh nigah milane lage
hum har ek se nazar churane lage
dekhiye kya ho jaur ka anjam
wo mere hausle baDhane lage
ye wo kafir hai ishq-e-KHana-KHarab
tum mere gham-kade mein aane lage
kawishon mein bhi ab maza na raha
har kisi ko wo jab satane lage
maut aai 'zahir' kab hum ko
jab mohabbat ke lutf aane lage
- Book : Intekhab-e-Sukhan(Jild-2) (Pg. 202)
- Author : Hasrat Mohani
- Publication : uttar pradesh urdu academy (1983)
- Edition : 1983
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.