wo jo kuen mein Duba hoga
vo jo kueñ meñ Duubā hogā
shāyad koī pyāsā hogā
man ke nagar meñ aag lagī hai
ġham kā dīpak bhaḌkā hogā
saarī chīzeñ bikhrī paḌī haiñ
ghar meñ koī aaya hogā
pyaar kā jangal sabz huā hai
ġham kā sāvan barsā hogā
phūloñ par shabnam ke qatre
koī 'aḳhtar' royā hogā
wo jo kuen mein Duba hoga
shayad koi pyasa hoga
man ke nagar mein aag lagi hai
gham ka dipak bhaDka hoga
sari chizen bikhri paDi hain
ghar mein koi aaya hoga
pyar ka jangal sabz hua hai
gham ka sawan barsa hoga
phulon par shabnam ke qatre
koi 'aKHtar' roya hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.