wo jo tere qarib hota hai
vo jo tere qarīb hotā hai
kis qadar ḳhush-nasīb hotā hai
jis kī ḳhātir na ho duā maañ kī
vahī sab se ġharīb hotā hai
jo na badlā hazār koshish se
aadmī kā nasīb hotā hai
rang jo bhī bhare haqīqat ke
vahī sachchā adiib hotā hai
vaqt par kaam aa.e jo 'anvār'
vahī apnā habīb hotā hai
wo jo tere qarib hota hai
kis qadar KHush-nasib hota hai
jis ki KHatir na ho dua man ki
wahi sab se gharib hota hai
jo na badla hazar koshish se
aadmi ka nasib hota hai
rang jo bhi bhare haqiqat ke
wahi sachcha adib hota hai
waqt par kaam aae jo 'anwar'
wahi apna habib hota hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.