wo jo tumhaari majburi hai
vo jo tumhārī majbūrī hai
vahī to saarī majbūrī hai
jo bhī tumhārī majbūrī hai
pahle hamārī majbūrī hai
husn tumhārī majbūrī hai
'ishq hamārī majbūrī hai
zill-e-ilāhī ro nahīñ sakte
kuchh darbārī majbūrī hai
tasvīroñ se bāteñ karnā
kitnī pyārī majbūrī hai
chāñd se yārāna hai apnā
shab-bedārī majbūrī hai
halkī bāteñ kartā hai vo
koī bhārī majbūrī hai
wo jo tumhaari majburi hai
wahi to sari majburi hai
jo bhi tumhaari majburi hai
pahle hamari majburi hai
husn tumhaari majburi hai
'ishq hamari majburi hai
zill-e-ilahi ro nahin sakte
kuchh darbari majburi hai
taswiron se baaten karna
kitni pyari majburi hai
chand se yarana hai apna
shab-bedari majburi hai
halki baaten karta hai wo
koi bhaari majburi hai
- Book : Hijr Ki Dusri Dawa (Pg. 67)
- Author : Fahmi Badayuni
- Publication : Rekhta Publications (2022)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.