wo kahan qasr-e-ali-shan mein KHush
vo kahāñ qasr-e-ālī-shān meñ ḳhush
ham ġharīboñ ke haiñ gumnām meñ ḳhush
duur se dekhne se lagte haiñ
sab sitāre haiñ āsmān meñ ḳhush
dhuup usī rāste meñ aatī hai
ek darvāza hai makān meñ ḳhush
rāh-gīroñ ko rok letī hai
chārpā.ī hai sā.ebān meñ ḳhush
TukḌe TukḌoñ meñ baT ga.ī duniyā
kuchh purāne haiñ ḳhāndān meñ ḳhush
kāġhazoñ par saje sunahre ḳhvāb
log hote rahe plan meñ ḳhush
ho salīqa agar baratne kā
lafz rahte haiñ har zabān meñ ḳhush
wo kahan qasr-e-ali-shan mein KHush
hum gharibon ke hain gumnam mein KHush
dur se dekhne se lagte hain
sab sitare hain aasman mein KHush
dhup usi raste mein aati hai
ek darwaza hai makan mein KHush
rah-giron ko rok leti hai
chaarpai hai saeban mein KHush
TukDe TukDon mein baT gai duniya
kuchh purane hain KHandan mein KHush
kaghazon par saje sunahre KHwab
log hote rahe plan mein KHush
ho saliqa agar baratne ka
lafz rahte hain har zaban mein KHush
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.