wo kahte hain ki hai TuTe hue dil par karam mera
vo kahte haiñ ki hai TuuTe hue dil par karam merā
magar min-jumla-e-ādāb-e-ġham-ḳhvārī hai ġham merā
vahāñ sajde se ab tak qudsiyoñ ke sar nahīñ uThte
paḌā thā jis jagah rāh-e-mohabbat meñ qadam merā
zahe taqdīr-e-nākāmī ki terī maslahat Thahrī
tirī marzī se vābasta huā allāh re ġham merā
na jāneñ is safar kī manzil-e-avval kahāñ hogī
fanā kī āḳhirī manzil pe hai pahlā qadam merā
mire josh-e-talab kī shān-e-istiġhnā koī dekhe
ki maiñ rahbar se aage mujh se aage hai qadam merā
maiñ vo āzurda-e-vahm-e-musarrat huuñ ma.āz-allāh
ki ġham ko ġham samajhne se bhī ghabrātā hai dam merā
ye mahrūm-e-tabassum mīr-e-sāmān-e-tabassum hai
tirī bazm-e-tarab meñ mo'tabar hai ashk-e-ġham merā
ab aage kis se likkhā jaa.e āġhāz-e-mohabbat par
fasāna ḳhatm kar dete haiñ arbāb-e-qalam merā
mirī āvārgī har qaid se be-zār hai shāyad
ki ab us kī galī meñ bhī guzar hotā hai kam merā
baqā kahte haiñ jis ko vo mirā ehsān hai 'fānī'
vo hādis huuñ ki duniyā-e-qadam bhartī hai dam merā
wo kahte hain ki hai TuTe hue dil par karam mera
magar min-jumla-e-adab-e-gham-KHwari hai gham mera
wahan sajde se ab tak qudsiyon ke sar nahin uThte
paDa tha jis jagah rah-e-mohabbat mein qadam mera
zahe taqdir-e-nakaami ki teri maslahat Thahri
teri marzi se wabasta hua allah re gham mera
na jaanen is safar ki manzil-e-awwal kahan hogi
fana ki aaKHiri manzil pe hai pahla qadam mera
mere josh-e-talab ki shan-e-istighna koi dekhe
ki main rahbar se aage mujh se aage hai qadam mera
main wo aazurda-e-wahm-e-musarrat hun maaz-allah
ki gham ko gham samajhne se bhi ghabraata hai dam mera
ye mahrum-e-tabassum mir-e-saman-e-tabassum hai
teri bazm-e-tarab mein mo'tabar hai ashk-e-gham mera
ab aage kis se likkha jae aaghaz-e-mohabbat par
fasana KHatm kar dete hain arbab-e-qalam mera
meri aawargi har qaid se be-zar hai shayad
ki ab us ki gali mein bhi guzar hota hai kam mera
baqa kahte hain jis ko wo mera ehsan hai 'fani'
wo hadis hun ki duniya-e-qadam bharti hai dam mera
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.