wo kahte hain ranjish ki baaten bhula den
vo kahte haiñ ranjish kī bāteñ bhulā deñ
mohabbat kareñ ḳhush raheñ muskurā deñ
ġhurūr aur hamārā ġhurūr-e-mohabbat
mah o mehr ko un ke dar par jhukā deñ
javānī ho gar jāvedānī to yā rab
tirī saada duniyā ko jannat banā deñ
shab-e-vasl kī be-ḳhudī chhā rahī hai
kaho to sitāroñ kī sham.eñ bujhā deñ
bahāreñ simaT aa.eñ khil jaa.eñ kaliyāñ
jo ham tum chaman meñ kabhī muskurā deñ
ibādat hai ik be-ḳhudī se ibārat
haram ko mai-e-mushk-bū se basā deñ
vo ā.eñge aaj ai bahār-e-mohabbat
sitāroñ ke bistar pe kaliyāñ bichhā deñ
banātā hai muñh talḳhi-e-mai se zāhid
tujhe bāġh-e-rizvāñ se kausar mañgā deñ
jinheñ umr bhar yaad aanā sikhāyā
vo dil se tirī yaad kyūñkar bhulā deñ
tum afsāna-e-qais kyā pūchhte ho
idhar aao ham tum ko lailā banā deñ
ye be-dardiyāñ kab tak ai dard-e-ġhurbat
butoñ ko phir arz-e-haram meñ basā deñ
vo sarmastiyāñ baḳhsh ai rashk-e-shīrīñ
ki ḳhusrū ko ḳhvāb-e-adam se jagā deñ
tire vasl kī be-ḳhudī kah rahī hai
ḳhudā.ī to kyā ham ḳhudā ko bhulā deñ
unheñ apnī sūrat pe yuuñ naaz kab thā
mire ishq-e-rusvā ko 'aḳhtar' duā deñ
wo kahte hain ranjish ki baaten bhula den
mohabbat karen KHush rahen muskura den
ghurur aur hamara ghurur-e-mohabbat
mah o mehr ko un ke dar par jhuka den
jawani ho gar jawedani to ya rab
teri sada duniya ko jannat bana den
shab-e-wasl ki be-KHudi chha rahi hai
kaho to sitaron ki shamen bujha den
bahaaren simaT aaen khil jaen kaliyan
jo hum tum chaman mein kabhi muskura den
ibaadat hai ek be-KHudi se ibarat
haram ko mai-e-mushk-bu se basa den
wo aaenge aaj ai bahaar-e-mohabbat
sitaron ke bistar pe kaliyan bichha den
banata hai munh talKHi-e-mai se zahid
tujhe bagh-e-rizwan se kausar manga den
jinhen umr bhar yaad aana sikhaya
wo dil se teri yaad kyunkar bhula den
tum afsana-e-qais kya puchhte ho
idhar aao hum tum ko laila bana den
ye be-dardiyan kab tak ai dard-e-ghurbat
buton ko phir arz-e-haram mein basa den
wo sarmastiyan baKHsh ai rashk-e-shirin
ki KHusru ko KHwab-e-adam se jaga den
tere wasl ki be-KHudi kah rahi hai
KHudai to kya hum KHuda ko bhula den
unhen apni surat pe yun naz kab tha
mere ishq-e-ruswa ko 'aKHtar' dua den
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.