wo kahte the ki dekho chintiyon ke par nikal aae
vo kahte the ki dekho chīñtiyoñ ke par nikal aa.e
bas itnī baat thī ham chhoḌ apnā ghar nikal aa.e
hamāre shahr meñ sar kī hifāzat mas.ala Thahrā
kise mā'lūm hai kis samt se patthar nikal aa.e
kisī āvāz ne āvāz dī ḳhāmoshiyāñ TūTīñ
jahāñ thiiñ sirf dīvāreñ vahāñ par dar nikal aa.e
mirī fihrist se ek naam bhī ḳhārij nahīñ hotā
na jaane kaun kin hālāt meñ behtar nikal aa.e
'musavvir' log kuchh bāhar ke andar jam ke baiThe haiñ
jinheñ andar hī rahnā thā vo bas bāhar nikal aa.e
wo kahte the ki dekho chintiyon ke par nikal aae
bas itni baat thi hum chhoD apna ghar nikal aae
hamare shahr mein sar ki hifazat masala Thahra
kise ma'lum hai kis samt se patthar nikal aae
kisi aawaz ne aawaz di KHamoshiyan TuTin
jahan thin sirf diwaren wahan par dar nikal aae
meri fihrist se ek nam bhi KHarij nahin hota
na jaane kaun kin haalat mein behtar nikal aae
'musawwir' log kuchh bahar ke andar jam ke baiThe hain
jinhen andar hi rahna tha wo bas bahar nikal aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.