wo kaun tha ki jo aasan kah gaya mujhko
vo kaun thā ki jo āsān kah gayā mujh ko
zarā sī baat pe nādān kah gayā mujh ko
ye daur vo hai ḳhudā ko kahe ḳhudā na koī
karam hai us kā jo insān kah gayā mujh ko
vo dikh rahā thā pareshān mujh se mil ke bahut
ajiib baat hai hairān kah gayā mujh ko
nahīñ khilā sakā jab phuul dil meñ chāhat kā
to bebasī meñ vo vīrān kah gayā mujh ko
tamām dukh the numāyāñ yuuñ merī āñkhoñ se
suḳhan-shanās to dīvān kah gayā mujh ko
wo kaun tha ki jo aasan kah gaya mujh ko
zara si baat pe nadan kah gaya mujh ko
ye daur wo hai KHuda ko kahe KHuda na koi
karam hai us ka jo insan kah gaya mujh ko
wo dikh raha tha pareshan mujh se mil ke bahut
ajib baat hai hairan kah gaya mujh ko
nahin khila saka jab phul dil mein chahat ka
to bebasi mein wo viran kah gaya mujh ko
tamam dukh the numayan yun meri aankhon se
suKHan-shanas to diwan kah gaya mujh ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.