wo KHayal-e-muhaal kis ka tha
vo ḳhayāl-e-muhāl kis kā thā
aa.ina be-misāl kis kā thā
safarī apne aap se thā maiñ
hijr kis kā visāl kis kā thā
maiñ to ḳhud meñ kahīñ na thā maujūd
mere lab par savāl kis kā thā
thī mirī zaat ik ḳhayāl-āshob
jaane maiñ ham-ḳhayāl kis kā thā
jab ki maiñ har-nafas thā be-ahvāl
vo jo thā merā haal kis kā thā
dopahar bād-e-tund kūcha-e-yār
vo ġhubār-e-malāl kis kā thā
wo KHayal-e-muhaal kis ka tha
aaina be-misal kis ka tha
safari apne aap se tha main
hijr kis ka visal kis ka tha
main to KHud mein kahin na tha maujud
mere lab par sawal kis ka tha
thi meri zat ek KHayal-ashob
jaane main ham-KHayal kis ka tha
jab ki main har-nafas tha be-ahwal
wo jo tha mera haal kis ka tha
dopahar baad-e-tund kucha-e-yar
wo ghubar-e-malal kis ka tha
- Book : Gumaan (Poetry) (Pg. 99)
- Author : Jaun Elia
- Publication : Takhleeqar Publishers (2012)
- Edition : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.