wo KHush-suKHan to kisi pairwi se KHush na hua
vo ḳhush-suḳhan to kisī pairvī se ḳhush na huā
mizāj-e-lakhnavī-o-dehlavī se ḳhush na huā
malāl ye hai ki āḳhir bichhaḌ gayā mujh se
vo ham-safar jo mirī ḳhush-ravī se ḳhush na huā
tujhe ḳhabar bhī hai kyā kyā ḳhayāl aatā hai
ki jī tire suḳhan-e-multavī se ḳhush na huā
faqīr shaah nahīñ shāh-sāz hotā hai
ye ḳhush-nazar nigah-e-ḳhusravī se ḳhush na huā
saje hue haiñ abhī dil meñ ḳhvāhishāt ke but
ye somnāt kabhī ġhaznavī se ḳhush na huā
vo aadmī hai jo āb-e-hayāt kā pyāsā
sharāb-e-īsavī-o-mūsavī se ḳhush na huā
vo kam-suḳhan to mirā dushman-e-suḳhan niklā
ġhazal se ḳhush na huā masnavī se ḳhush na huā
usī ko aayā sar āñkhoñ pe baiThne kā hunar
jo apnī haisiyat-e-sānavī se ḳhush na huā
ra.uuf 'ḳhair' bhalā tum se kaise ḳhush hogā
vo maulvī jo kisī maulvī se ḳhush na huā
wo KHush-suKHan to kisi pairwi se KHush na hua
mizaj-e-lakhnawi-o-dehlawi se KHush na hua
malal ye hai ki aaKHir bichhaD gaya mujh se
wo ham-safar jo meri KHush-rawi se KHush na hua
tujhe KHabar bhi hai kya kya KHayal aata hai
ki ji tere suKHan-e-multawi se KHush na hua
faqir shah nahin shah-saz hota hai
ye KHush-nazar nigah-e-KHusrawi se KHush na hua
saje hue hain abhi dil mein KHwahishat ke but
ye somnat kabhi ghaznawi se KHush na hua
wo aadmi hai jo aab-e-hayat ka pyasa
sharab-e-isawi-o-musawi se KHush na hua
wo kam-suKHan to mera dushman-e-suKHan nikla
ghazal se KHush na hua masnawi se KHush na hua
usi ko aaya sar aankhon pe baiThne ka hunar
jo apni haisiyat-e-sanawi se KHush na hua
rauf 'KHair' bhala tum se kaise KHush hoga
wo maulwi jo kisi maulwi se KHush na hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.