wo KHushi bhi KHushi se hoti hai
vo ḳhushī bhī ḳhushī se hotī hai
jo tirī ek jī se hotī hai
aisī ummīd hai hameñ tum se
jo nabī ko vah.y se hotī hai
jo mohabbat tū mujh se kartā hai
har kisī ko kisī se hotī hai
haañ vahāñ sāmne vo rahtā hai
raushnī us galī se hotī hai
jo shikāyat tū le ke aaya hai
sabhī ko zindagī se hotī hai
maiñ huuñ is duniyā kī vo bīmārī
jo tumhārī kamī se hotī hai
wo KHushi bhi KHushi se hoti hai
jo teri ek ji se hoti hai
aisi ummid hai hamein tum se
jo nabi ko wahy se hoti hai
jo mohabbat tu mujh se karta hai
har kisi ko kisi se hoti hai
han wahan samne wo rahta hai
raushni us gali se hoti hai
jo shikayat tu le ke aaya hai
sabhi ko zindagi se hoti hai
main hun is duniya ki wo bimari
jo tumhaari kami se hoti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.