wo kisi aur se mila hoga
vo kisī aur se milā hogā
dil ye kahtā hai vāhima hogā
mere dil meñ dhamāl paḌtī hai
log shak meñ ki āriza hogā
us kī yaaro ḳhabar hī le aao
koī darpesh mas.ala hogā
paañv tikTā nahīñ zamīñ par kyoñ
ġhaur se dekh aabla hogā
ḳhāmushī ko javāb mat samjho
ain mumkin na kuchh sunā hogā
tum jise kā.enāt kahte ho
yaar paanī kā bulbula hogā
ab ḳhudā ko hai faisla karnā
vo tirā hogā yā mirā hogā
jaao duniyā maiñ kuchh nahīñ kahtā
roz-e-mahshar hī sāmnā hogā
ḳhāmushī ko zabān kahte haiñ
ek din is kā tarjuma hogā
kuchh farishte haiñ sāmne mere
ab to har haal ma.arka hogā
tum jise ishq jaan baiThe ho
un kā mumkin hai mashġhala hogā
lauh-e-mahfūz par jo likkhā hai
us se haT kar bhī faisla hogā
soch lo dekh-bhāl lo 'dānish'
ishq hogā to ratjagā hogā
wo kisi aur se mila hoga
dil ye kahta hai wahima hoga
mere dil mein dhamal paDti hai
log shak mein ki aariza hoga
us ki yaro KHabar hi le aao
koi darpesh masala hoga
panw tikTa nahin zamin par kyon
ghaur se dekh aabla hoga
KHamushi ko jawab mat samjho
ain mumkin na kuchh suna hoga
tum jise kaenat kahte ho
yar pani ka bulbula hoga
ab KHuda ko hai faisla karna
wo tera hoga ya mera hoga
jao duniya main kuchh nahin kahta
roz-e-mahshar hi samna hoga
KHamushi ko zaban kahte hain
ek din is ka tarjuma hoga
kuchh farishte hain samne mere
ab to har haal marka hoga
tum jise ishq jaan baiThe ho
un ka mumkin hai mashghala hoga
lauh-e-mahfuz par jo likkha hai
us se haT kar bhi faisla hoga
soch lo dekh-bhaal lo 'danish'
ishq hoga to ratjaga hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.