wo kisi par jafa nahin karte
vo kisī par jafā nahīñ karte
aitabār-e-vafā nahīñ karte
ek ham se ḳhafā hai ḳhalq-e-ḳhudā
log duniyā meñ kyā nahīñ karte
ai nasīhat-garo ḳhudā ke liye
yuuñ nasīhat kiyā nahīñ karte
sar na khaao ki ishq-e-lāla-ruḳhāñ
ham ne kah jo diyā nahīñ karte
saḳht mushkil hai dilbarī dekheñ
aap karte haiñ yā nahīñ karte
ġham-e-jānāñ ho yā ġham-e-daurāñ
tiir un ke ḳhatā nahīñ karte
mar bhī jaa.eñ to ham sar-e-mahfil
sāqiyā sāqiyā nahīñ karte
ai azīzo tumhārī shart nahīñ
ham to apnā kahā nahīñ karte
dost haiñ bevafā magar 'ābid'
muñh se aisā kahā nahīñ karte
wo kisi par jafa nahin karte
aitabar-e-wafa nahin karte
ek hum se KHafa hai KHalq-e-KHuda
log duniya mein kya nahin karte
ai nasihat-garo KHuda ke liye
yun nasihat kiya nahin karte
sar na khao ki ishq-e-lala-ruKHan
hum ne kah jo diya nahin karte
saKHt mushkil hai dilbari dekhen
aap karte hain ya nahin karte
gham-e-jaanan ho ya gham-e-dauran
tir un ke KHata nahin karte
mar bhi jaen to hum sar-e-mahfil
saqiya saqiya nahin karte
ai azizo tumhaari shart nahin
hum to apna kaha nahin karte
dost hain bewafa magar 'abid'
munh se aisa kaha nahin karte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.