wo koi husn hai jis husn ka charcha na hua
vo koī husn hai jis husn kā charchā na huā
us kā kyā ishq hai jo ishq meñ rusvā na huā
terā aanā jo mire paas masīhā na huā
thā jo bīmār kisī se magar achchhā na huā
yuuñ to mushtāq rahe kitnā hī us kūche ke
par guzar mere sivā aur kisī kā na huā
shāyad aa jaa.e kabhī dekhne vo rashk-e-masīh
maiñ kisī aur se is vāste achchhā na huā
sher kahte hue ik umr hui 'tābāñ' ko
haa.e afsos ki is kaam maiñ puḳhta na huā
wo koi husn hai jis husn ka charcha na hua
us ka kya ishq hai jo ishq mein ruswa na hua
tera aana jo mere pas masiha na hua
tha jo bimar kisi se magar achchha na hua
yun to mushtaq rahe kitna hi us kuche ke
par guzar mere siwa aur kisi ka na hua
shayad aa jae kabhi dekhne wo rashk-e-masih
main kisi aur se is waste achchha na hua
sher kahte hue ek umr hui 'taban' ko
hae afsos ki is kaam main puKHta na hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.